Monday 30 March 2009

Pyaasa - Shayari

Jab hum chale to saaya bhi apna na saath de, jab tum chalo zameen chale asman chale
jab hum rukein sath ruke sham e bekasi, jab tum ruko bahar ruke chandni ruke.

GHam is kadar badhe ke mein ghbra ke pi gaya,is dil ki bebasi pe taras kha ke pi gaya
Thukra raha tha mujhko badi der se jahan, mein aaj sab jahan ko thukra ke pi gaya


Yeh hanste hue fool yeh mehka hua gulshan,
yeh rang aur noor mein doobi hui rahen
yeh foolon ka rass peke machalte hue bhanvre
mein dun bhi to kya dun tumhein ae shauk nazaron
le de kar mere paas kuch aansun hai kuch aanhein

3 comments: