Thursday, 24 October 2019
Thats the way I get by
Monday, 30 September 2019
Kuch kia wip
कुछ सुर ताल लगाया , कुछ साज़ किया , कुछ रंजिशों को आवाज़ किया , कुछ तबले पे हड़कंप मचाया, कुछ ऐसे शाम का आगाज़ किया
Andhera (wip)
उस अंधेरे कोने में
जहां रोशनी की कोई किरण नही आती
दुख बैठा है चुपके से
फ़ूट पड़ता है जब आती है रात
मैंने लाख उजाले किए
जलाए जीवन के पथ पर कई चिराग
दीए कई टूट गए बुझ गए
जलती रही वो काली आग
ख्यालों में रखे प्यारे सपने
दिन में देखे सपने
Mera ilaaj kijiye
Mujhe sur कीजिए
Mujhe saaz kijie
Mujhe soche khamoshi mein
Mujhe awaaz kijie
Mujhe अर्थ दीजिए
Mujhe hawai kije
Mujhe vyarth kijie
Mujhe apna lijie
Mujhe kijie yakeen
Mujhe bhula dijie
Mujhe shraap दीजिए
Mujhe khuda kije
Mujhe rakhie benakaab
Mujhe hijaab kijie
Mujhe udne de yun hi
Mera hisaab kijie
Mujhpe karie zulm
Behisaab kijie
Mujhe rakhie mandir mein
Mujhe शराब kijie
Mujhe jodie kabhi
Kabhi tukde hazaar kijie
Mujhe bhula de kabhi
Kabhi chiraag e mazaar kijie
Mujhpe jo ban paya
Karam beshumaar kijie
Aur jab chaahe
Mera vyapar kijie
Ab kya kar chale
Sau gunaah karke mantriji hajj ko chale
Sau ghoos khake vakeel judge ho chale
Kuchj sau mare honge is baadh mejn shayad
Ke pujya mantriji bhi daur pe chale
Chunaav ke lagta hai rujhaan aagae
Jo the haath jode woh neta khuda ho chale
Hoga kuch jamhooriyatki tarriki ka khyaal
Poore jamghat ke saath fir switzerland ko chale